Qurb k na wafa k hote hain
Saray jhagray anaa k hote hain
Baat niyat ki sirf hai warna
Waqt saray dua k hote hain
Bhool jate hain mat bura kehna
Log putlay khata k hote hain
Wo bazahir jo kuch nahi lagte
Unse rishtay bala k hote hain
Wo hamara hay is tarah say
Jaisay bande khuda k hothe hain