Lakh zabt e khuawhish k
Beyshumar da'way hon
Usko bhool janay k
Beypanah iraday hon
Aur iss muhabbat ko tark kar k
Jeenay ka faisla sunanay ko
Kitnay lafz sochay hon
Dil ko uski ahat par
Barmalla dharaknay se
Kaun rok sakta hai
Phir wafa ki sehra main
Suke narm lehjay aur
Sogawar ankhon ki
Khushboun ko choonay ki
Justaju main rehnay se
Rooh tak pighalnay se
Nangay pao chalnay se
Kaun rok sakta hai
Ansoun ki barish main
Chahay dil k hathon
Hijr k musafir k
Paoon tak b chu ao
Jisko laut jana ho
Usko door janay se
Rasta badalnay se
Door ja nikalnay se
Kaun rok sakta hai