Titliyon k mausam main
Nochna gulabon ka
Reet iss nagar ki hai
Aur janay kab se hai
Sheher k ye bashinde
Nafraton ko bo ker bhi
Intazar kete hain
Fasl ho mohabbat ki
Bhool ker haqeeqat ko
Dhoondna sarabon ka
Reet ka nagar ki hai
Aur jane kab se hai
Abhi tum naye ho na
Is liye pereshan ho
Aasman ki jaanib
Is tarha se mat dekho
Aaftain jab ani hoon
Tootna sitaroon ka
Reet iss nagar ki hai
Aur jane kab se hai
Khamshi mera shewa
Guftagoo Hunar uss ka
Meri begunahi ko
Loag kese manaein gay
Baat baat per jab k
Naangna hawalon ka
Reet is nagar ki hai
Aur jane kab se hai
Ajnabi fizaoon main
Ajnabi musaafir se
Apne har talluq ko
Daayemi samjh lena
Aur jab bichar jana
Nangna duaaon ka
Reet kis nagar ki hai
Aur jane kab se hai