Guraiz shab se, seher se kalam rakhtay they
Kabhi woh din thay ke zulfon mein sham rakhtay they
Tumharay haath lagay hein tou jo karo so karo
Werna tum se tou ham so ghulam rakhtay thay
Hamein bhi ghair liya ghar ke zo'am ne tou khula
Kuch aur log bhi is mein qayam rakhtay thay
Yeh aur baat ke hamein dosti na raas aaye
Hawa thi saath to khushboo muqam rakhtay thay
Na janay konsi rut mein bichar gaye woh log
Jo apney dil mein bohat ehtaram rakhtay thay
Woh aa tou jata kabhi ham us ke raston pe
Diya jalaye hue subh-o-shaam rakhtay thay