Ajab hain raaste mere k chalna bhi nahi mumkin
Zara thoker jo lag jaye sambhlna bhi nahi mumkin
Tera chehra meri nazron main dhundla sa na ho jaye
Bheegi hoi aankhon ko ab malna bhi nahi mumkin
Mile hain baad muddat k bala k sard hain jehle
K jalna bhi nahi mumkin pighalna bhi nahi mumkin
Talluq toot jaane se ummedein toot jaati hain
Dilon main hasratein le kar bahelna bhi nahi mumkin
Bohat na-kaamian le ker howa hoon khaak ka qaidi
Chal ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin
Usay itna na socha ker teri aadat na par jaye
Phir to aisi aadatein badalna bhi nahi mumkin