Tumhain janay ki jadli thi
so apni jald baazi main
tum apnay lamz ki kirnain
nazar k zaviye
poaron ki shamain
mere seene main bharakta chor aye ho
wahan takiye k neechay
kuch sunehray rung ki tooti hui seensain
kisi nozayeda khushbu k taza khuwabchay
bistar ki shiknon main giray kuch khoobru lamhay
dressing room main hanger se latki aik sud rangi hansi ko
bas achanak hi pas-e-parda latakta chor aye ho
tumhain janay ki jaldi thi ab aisa hay k jab bhi
be-khayali main sahi
lakin
kabhi jo is taraf niklo
to itna yaad rakhna
ghar ki chaabi saddar darwazay k bayen hath par
aik khoal main rakhi milay gi
or tumhain maalom hay
kapron ki almaari hamesha se khuli hay
safe ki chaabi to tum ne khud hi gumm ki thi
so woh tab se khula hay or us main kuch
tumhari chooria
aik aadh angoothi or un k beech
kuch zard lamhay
or un lamhon ki girhon main bandi kuch lams ki kirnain
nazar k zaviye
poaron ki shamain
or sunehray rung ki tooti hui
saansain milain gi
or woh sab kuch jo mera or tumhara
mushtarka sa ek asasa hay
Simat paye to le jana
K abb
mujhay janay ki jaldi hay