Meray dil nehaan khanon main kitney lafz
Chilatey huwy, yun ba'in kertay hain
keh meray her taraf cheeko'n ka
Wehshatnaak shorish phail jata hai satata hai
Magar jab siskiyaan letay huwey yeh lafz main
kaghaz ki aghosh-e-meherbaan mein
Chpaanay k liye tarteeb deti hoon
Achanak ye sabhi alfaaz yu'n chup sadh letay hain
K goya boltey na hon
Mein khali warq pe nazrein jamaaey
Qarb ki gehri andheri khamoshi ko
Apnay ander yun chupaati hoon
K jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai
Jo ussay pyar kertay hain
Magar is aik koshish say na dil ka dard jata hai
Na koi hal nikalta hey
Bus ik wehshat ka saaya hai
Jo har suu phail jata hai