Kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko
na jaane kaise khabar ho gayee zamaane ko
Suna hai gair ki mehfil mein tum na jaaoge
Kaho toh aaj saja luu garib khaane ko
Dua bahaar ki maangi toh itane phul khile
Kahi jagaah na mili mere ashiyaane ko
Chaman mein jaana toh shayad dekh kar jaana
Akele chod kar aayaa hu aashiyaane ko
Meri lahad pe patango ka khoon hota hai
Huzur shama na laaya kare jalaaane ko
Dabaa ke qabr mein sab chala diya duaa na salaam
Zara si dermein kya ho gaya zamaane ko
Ab aage is mein tumhaare bhi naam aayega
Jo huam ho to yahi chord duu fasaane ko
Qamar zara bhi nahi tumko khauf-e-rusvaai
Ke chandani pe chale ho unhe manane ko