Ye dil bhulata nahi hai mohabbat uski
Padi howi thein mujhe kitni aadatain uski
Ye mera saara safa uski khushbu mein kata
Mujhe tou raah dikhaati theen chaahatain uski
Ghiri howi hun mein chehron ki bheer mein laikin
Kaheen nazar nahee ati shabaahatain uski
Mein dard se ronay lagi hun tou aisa lagta hai
Ke chaon jaisi theen mujh par rafaqatain uski
Mein baarishon mein juda ho gayi hun os se magar
Ye mera dil,meri saansain amaanatain uski