Jala k tu bhi agar aasra na de mujko,
Yeh khauf hai k hawa phir bujha na de mujhko
Main is khayal se mur mur k dekhta houn usy
Bichar k woh bhi kahein phir sada na de mujhko
Bas is khayal se shab bhar main so nahi sakti
K khouf-e-khwab-e-guzishta jaga na de mujhko
Teray bagair teri tarhan main zinda rahon,
Yeh haosla bhi dua kar khuda na de mujhko
main is liye bhi usey khud manaon ga
Ke mujhse rothny wala,bhula na de mujh ko