Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha
main un dinon safar e khaab karta rahta tha
Bas eik zikr tera tha jo gaah gaah mujhay
Aseer e halqaa e ahbaab karta rahta tha
Use to zakhm-rutain dekhne ki aadat thi
Main chaaraa-jooyi ke asbaab karta rahta tha
Main chaaraa-jooyi ke asbaab karta rahta tha
Hum ek ghar ke liye khaar, aur hakim e shahr
Shumar e gumbad o mehraab karta rahta tha
Usay khabar thi k main paar utar hi jaaunga
So,kashtiyaan meri gharqaab karta rahta tha