Wednesday, November 07, 2012

WOh Humsafar Tha Magar Us Say Humnawaayi Na Thi

Woh Humsafar tha magar us say humnawaayi na thi 
Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thi 

Na apna ranj na auron ka dukh,na tera malal
Shab-e-firaq kabhi humnay yun ganwayi na thi 

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha 
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi 

Adawatein thin,taghaful tha, ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi 

Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal 
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi 

Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din
Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi 

Kabhi yeh haal haal keh donon main yakdili thi bohat 
Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi 

Ajeeb hoti hay rah-e-sukhan bhi dekh naseer
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi