Wednesday, November 07, 2012

Chalo Ik Baar Chaltay Hain

Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain 
Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain 

Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay 
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain 

Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kehien bay chain lumhonmain chalo ik bar chaltay hain 

Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum
Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain 

Sunna hay koch karnay say budal jaati hein taqdeerein 
Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik baar chaltay hain 

Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main 
Kisi goher-e-shifa k pass chalo ik bar chaltay hain 

Saza ka ore jaza ka moamla chordo ab jaanay dau
Jahan na kharm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain 

Tumhain koe ozer na ho tau,Ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain