Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy
Wagarna us se mohabbat bohat puraani hy
Khuda wo din na dikhaaye keh main kisi se sunaoon
Keh tu ne bhi gham-e-duniya se haar maani hy
Zameen pe reh k sitaare shikaar kerte hyn
Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hy
Humain azizi ho kyon,ker na sham-e-gham k yehi
Bicharne waale,teri aakhir nishaani hy
Utaar pare ho to darya se poochna kaisa
Ke saahiloon se udhar kitna taiz paani hy
Bohat dinon main teri yaad orh ker utri
Ye sham kitni sunehri hy kia suhaani hy
Main kitni dair tak usay sochta rahoon
Ke jaise us ka badan bhi koi kahani hy...