Guloon ki tarah hum na zindagi ko is qadar jana
Kisi zulf ma aik raat sona or bichar jana
Agr aisa kia to zindagi par hrf aya ga
Hawaaon sa lipatna, tilioon sa choom kar jana
Dhank kay rakh dia tha baadloon ko jn parindoon nay
Inhain kis na sikhaaya tha apnay saya sa bhi dar jana
Khaan tak ya dia bemaar kamray ki fizaa dablay
Kabhi tum aik mithi dhoop in taaqatoon main bhar jana
Isi main aafiat hay ghar main apnay chain sab betho
Kisi ki smt jana ho to rastay main utr jao