Tuesday, November 20, 2012

Tujh Ko Teri Nazroun Main Hi Gira Doun Main

Youn hi sochta hoon main aksar 
Tujhay kis tarhaan saza doun main 

Teri arzoo karun aur phir 
Tera khayal tak bhulla doun main 

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar 
Apni raatein sabhi jala doun main 

Teri manzil ko guloun say saja kar 
Rah main kaantey bicha doun main 

Ye teri zeest ka har ik pehloo 
Bhooli hui dastaan bana doun main 

Tu jo chahey ussey main pa loun 
Tu jo paa ley ussey mita doun main 

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key 
Tujh ko teri nazroun main hi gira doun main..