Koyee had nahi hai kamaal ki
Koyee had nahi hai jamaal ki
Wahi qurb o door ki manzilein
Wahi sham khaan -o- khyaal ki
Na mujhe hi uska pata koyee
Na use khabar mere haal ki
Ye jawaab meri sada ka hai
K sada hai uske sawaal ki
Wo qayamatein jo guzar gayeein
Thin amanatein kayee saal ki
Ye namaaz e asr ka waqt hai
Ye ghari hai din k zawaal ki
Hai monir subh -e- safar nayee
Gayee baat hab k malaal ki