Qadam qadam pe nya marhala tha mein kiya karta,
Taveel hota gya fasla mein kiya karta
Har shakhs ko tha rehbari ka shoq,
bhatak raha tha mera kafila mein kiya karta,
Ghum-e-hayat ghum-e-ishq or ghum -e-janab,
Ulajh gaya tha har ek silsila mein kiya karta
Tumhare bad bhala faisla ki fursat thi
Tumhare bad bhala faisla mein kiya karta,
Bohat sanbhal k rakha tha dil me raaz tumhara,
Wo ban k ashk jo girne laga men kiya karta...