Saturday, November 17, 2012

Jaise Murda Kar Diya Tha Ishq Ke Ilzaam Ne

Jaise murda kar diya tha ishq ke ilzaam ne 
Mujh mein saanse phunk di hain aapke paigham ne 

Abr, aanchal, paid patte, saybaan, kuch bhi nahin 
Kis jagah lakar milaya hai humen ayaam ne 

Tere aane ki khabar ne dekh kya kya kar diya 
Kitne hi deepak jala dale hain meri shaam ne 

Raat bhar jaga kiye hain teri yadon ke tufail 
Kitne khuwabon ko buna hai is dil e nakaam ne 

Maut bhi nakaam ho kar laut 'ti hai roz roz 
Mujhko zinda jo rakha hai ek tumhare naam ne