Neend aankhon main musallat nahi hone deta
Wo mera khwaab mukammal nahi hone deta
Aankh ke sheesh - mehal se wo kisi bhi lamhe
Apni tasveer ko ojhal nahi hone deta
Raabta bhi nahi rakhta hai sar-e-wasl koi
Or ta"lluq bhi mauttal nahi hone deta
Wo jo aik sheher hai pani ke kinaare
Apne atraaf main dal-dal nahi hone deta
Dil tou kehta hai ose lout ke aana hai yaha hee
Ye dilasa he tou hai jo mujhe pagal nahi hone deta