Kaun kehta hay maut aati tou mar jaonga
Main tou dariya hoon samandar mein utar jaonga
Tere pehlu se jo uthoonga tou mushkil yeh hay
Sirf ek shakhs ko paonga jidhar jaaonga
Ab tere shehar mein aaonga musaafir ki tarah
Saaya-e-abr ki maanind guzar jaonga
Tera paimaan-e-wafa raah ki deewar bana
Warna socha tha jab chahonga mar jaonga
Chaara saazoon se alag hay mera miyaar k main
Zakham khaonga tou kuch aur sanwar jaonga
Zindagi shamma ki mannind jalaata hoon
Bujh tou jaonga magar subha tou kar jaonga...