Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hay
Sab apney bhayd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai
Khudaawand hamein phir sey nai ek zindagi dey dey
bareeda par hain lekin hasrat e parwaaz baki hai
Nazar main raat k pichlay pehar jesi khamoshe hay
Magar dil k dharakne ka wohi andaaz baki hai
Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhsat faqat awaaz baki hai