Tuesday, November 20, 2012

Mohabbat Ki Tabiyat Mein Agarcha Gham Nahin Hota

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota 
Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota 

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao 
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota 

Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain 
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota 

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho 
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota 

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj 
Ujala baanta dene se ujala kam nahin hota