Mohabbat ka nagar abaad rakhna
Bilaa khauf-o-hatar abaad rakhna
Mohabbat mein koi asaan nahin
Wafaa ki reh-guzar abaad rakhna
Tum apni jagti ankhon mein jana,
Koi khawab-e-seher abaad rakhna,
Udaasi keh rahi hai sheher-e-jaan ki,
Hamare baam-o-dar abaad rakhna
Kisi ki yaad mein din raat yaawar,
Deyaar-e-chashm-e-tar abad rakhna...