Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahi karta,
Ik bar jisy apni nigahon se gira dain
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,
Us shakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai
Jo pair barre hote hain saya nahin karte,
Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahi karte
Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo zahid
Kho dete hain yaha sab kuch paaya nahin karte...