Tuesday, November 06, 2012

Kabhi Qurbaat Ke Lamhon Main Thikana Bhool Jatay Hain

Kabhi qurbat ke lamhon thikana bhool jatay hain 
kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain 

Sitam hay ye mohabbat main tum jisko isqadar chaho 
Ossi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain 

Chupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer 
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain 

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna 
Kisi doojay ke koe gham othana bhool jatay hain 

Sar-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main 
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain 

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko 
Khatam karkay wafa'on ka zamana bhool jatay hain 

Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main 
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jata hain 

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko 
Magar apni khata'on ko dikhana bhool jata hain