Tuesday, November 06, 2012

Dil Ko Magar Pehla Sa Qaraar Bhi Nahi

Koi gham, koi hijr-e-aabshar bhi nahi 
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi 

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko 
Tere sheher ke sabhi laog adakaar bhi nahi 

Haatho se apnay hi ghant  dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi nadaar bhi nahi 

Badal gya bichar kar,yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo gull-azaar bhi nahi 

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko 
Aye dil-e-nadan tujh se ghadaar bhi nahi 

Na nikaal mujhe apney dil se malazmo ki tarha 
Mere pass to aur koi razgaar bhi nahi 

Zahid barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko 
Darmyan hamaray ab ana'a ki deewar bhi nahi