Go kathan hai tay karna umar ka safar tanha,
Laut kar na dekhon ga, chal parra agar tanha,
Soch hai umar bhar kon kiska sath deta hai,
Gham bhi ho geya rukhsat dil ko chor kar tanha,
Hai to wajah-e-rusaayi meri hamraahi lekin,
Raaston mein khatraa hai jao gi kidhar tanha,
Aye shaoor is ghar mein is bharey ghar mein
Tujh se zindaa dil aur is qadar tanhaa...