Friday, November 02, 2012

Gham Chupaana Bhi To Asaan Nahin...

Gham chupaana bhi to asaan nahin,
ke sunaana bhi to asaan nahin,

Atey aatey hi kabhi ayen ge,
Un ka aana bhi to asaan nahin,

Ab mere haal pe rotay kyun ho 
Jee dukhana bhi to asaan nahin 

Kya karain gar na karain yaad unko,
Bhool jana bhi to asaan nahin

Zindagi saif museebat hi sahi,
Jee se jana bhi to asaan nahin...