Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai
Lagta hai ghar ka ghar hi asaas kisi ka hai
Ik aur hath bhi hai pas-e-raqs heela jo
Hum tum tou putliyaan hain, hamasha kisi ka hai
Yeh jo hain mere paon kisi aur ke na hon
Chal mein raha hon, naksh kuf e paa kisi ka hai
Ashkon se bhar raha hon mein apni dareeda mashk
Itne barss ke bad bhi darya kisi ka hai
Kese kahoon ke apni zubaan holte hain hum
Alfaaz shayed apne hon, lehja kisi ka hai