Yah dais hai andhay logoon ka
Aye chand yahan na nikla kar
Bey-naam say sapnay daikha ker
Aye dil her ja phisla ker
Yeh dais hai andhay logoon ka
Aye chaand yahan na nikla kar
Na dartey hain na naa dim hain
Na maanain k woh khaadim hain
Yahan ulta ganga behti hai
Is dais main andhay haakim hain
Yah raqam saray likhtay hain
Qawaneen yahan na tiktay hain
Hain yahan per karoobar bohat
Is daiis main gurdey biktay hain
Yaha dollar dollar hoti hai
Or G.D.P kosooti hai
Kuch loog hain aali shaan bohat
Or kuch ka nuqsaan rooti hai
Umeed ko lay ker parhtey hain
Phir degree lay ker phirtay hain
Jab job na un ke milti hai
Phir khud-khush hamlay kartay hain
Woh kehtay hain sab acha hai
Ar fooj ka raaj socha hai
Khoota gaari wala kyun yah manay
Jab bhooka us ka bacha hai
Yaha dais hai andhay logoon ka
Aye chaand yahan na nikla ker