Monday, October 29, 2012

Wo Yahaan Se nahin Gaya Ab Tak

Wo yahan se nahin gaya ab tak 
Sab wahin hay para hua ab tak 

Khwaab ankhon se hay khafa ab tak 
So mujhy neend hay sazaa ab tak 

Tum ne jo dard-e-dil diya tha kabhi 
Koi us mein hay mubtilaa ab tak 

Wo jisy tum ne tanha chora tha 
WO kisi ka nahin hua ab tak 

Us ki ankhain thien is qadar roshan 
Mera din hi nahin dhala ab tak 

Wo chubhan aj bhi hay kal jesi 
Zakhm bhi hay naya naya ab tak 

Main adam se kahan chala aya ,
Raasta pa nahi saka ab tak 

Wo jisy main ne apna ap diya 
Wo mera ho nahi saka ab tak 

Keh do jo kr mery maseeha se 
Mer chuka hum main barhaa ab tak 

Ab nahin ho gi shairi mujh se 
Likh diya jo bhi likh saka ab tak 

Kesi bad-qismati hay ye,
Mil k bhi wo nhi mila ab tak...