Fursat mein oper waalay ko dehaan jub aaya tera
Chaand ki kirnain gondh ke is ne jism banaya tera
Mein deewar se kaan laga kar sunta dharkan teri
kash mujhe taqdeer bana daiti humsaays tera
Shaanay tere chaandi chaandi, zulfain sona sona
Chor bana deta hai sab ko ye sarmaaya tera
Samajh gaya wo mein hee lipta hun tere qadamon se
chaandni raaton mein jis ne bhee dekha saaya tera
qatra qatra pighal rahi the barf mere andar ki
sardi ne jis raat badan mujhko pehnaaya tera
ye teri badaami ankhain, shant samandar jaisi
In mein doob ke bhee mein ne koi bhaid na paya tera