Wednesday, October 31, 2012

Tamam Sheher Ko Heraan Karne Wala Hoon

Tamam sheher ko heraan karne wala hoon 
Main apne hone ka aelaan karne wala hoon,

Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan
Safar ko aur bhi asaan karna wala hoon,

Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahin mokoof,
Mein tera sheher bhi viraan karne wala hoon,

Abhi woh mor nahin aya is kahani mein,
Jab mein sab ko pareshaan karne wala hoon,

Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha,
Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon,

Tamaam umar kahan hai woh meri kismat mein,
Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon,