Wednesday, October 31, 2012

Mohabbat Bhari Daastan Chahta Hoon

Mohabaat bhari daasta chahta hoon,
Main tum sa koi meherban chahta hoan,

Na ho jis mein koi bhi dushman kisi ka,
Mohabbat ka aesa jahaan chahta hoon,

Wohi qehqahey, jhamgatey doston ke,
Mein phir wohi shokhiyan chahta hoon,

Mohabbat ki chashm-e-karam karde mujhe per,
Karri dhoop mein saayebaan chahta hoon,

Wohi raat joban pe aayi huyi
Sitaron ki woh kehkashan chahta hoon

Bari der tak sahilon pe tehelna,
Gayi rut ka pehle samaan chahta hoon,