Bohat hi chaah se, hasrat se dekhte hain log,
Phir aayiney ko bhi wehshat se dekhte hain log,
Badal diya mujhe hijraton ke mausam ne,
Jidar bhi jata hoon khairat se dekhte hain log
Najane mujh pe yeh kya tu ne parrh ke phoonke hai
Meri taraf bhi mohabbat se dekhte hain log,
Yaha har aankh pe tera hi hukkam chalta hai
Sau tujh ko teri ijazat se dekhte hain log,
Yeh kya kashish hai teri jheel kesi ankhon mein
Jo aese shauq-e-shahadat se dekhte hain log
Main phr abhi us mohabbat ka naam deta hoon
Mujhe khabar hai murawat se dekhte hain log.
Tum aese kab ho ke shamsheer koi dekhe tumhe,
Yeh jaan lo kisi nisbat se dekhte hain log,