Tuesday, September 11, 2012

Usay Itna Na Chaha Kar

Zara tham tham k barsa kar
Abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hain
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
mujhe ase na dekh kar

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo eik din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar