Tuesday, September 11, 2012

Bari DIl Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Mili har qadam per rafaqat tumhari
Kahan hum kahan yeh inayat tumhari

Humay chahiya bus ta'aluq tumhara
Mohabbat milay yah adawat tumhari

Kisi say bhe milna usay jeet laina
Bari dil nasheen hay yeh adat tumhari

Na dekha jaha main koi aur tum sa
Bari manfarid tabiyat tumhari

Humhay zindagi kay kaein rastoon par
Hamesha rahay ge zaroorat tumhari