Aap key jigar-o-dil naveet sey mulaayam hain
Zulm kyaa cheej hai waisey to jantey hain sab
Aap gahraayee sey mahsoos kar fafaktey hain
Ham to aansoo bhi baha paatey naheen hain uthney
Ham samajhtey they wazeeroun ko sharm aayegee
Un ke aouqaat pai,ab ham ko sharam atee hai
Woh to rehtey hain fouziyoun sey ghiry pahroun mein
Aam logoun kaa khoon bahtaa hai baazaaroun mein
Kyee batlaaye yeh kaisee namak-halaalee hai