Yeh bahtaa khoon-e-insaan kah raha hai ,ruko shaitaanou
Kaheen aisaa na ho ,taameer-e-rab khatrey mein parh jaaye
Mileygaa kya tumhain,ae qaatilo,in beygunaahoun kaa
Bahaa kar khoon,ley kar jaan khaatoonoun ki,bachchoun ki
Bataaou koun saa mazhab hai,jis mein farz ho yeh sab
Zameen hai jannat-e-insaan,banaaou mat isey dozakh
Zaraa socho,yeh harkar kaayaraana kar rahey ho kyuon
Tumhain uksa rahey hain jo,wo waarish hain yazeedoun key
Khudaa ke rahmatuon say door,dozakh mein girogey jaa
Musalmaan,boudhh,hindu,sikh,isaayee,paarsee,jainy
Sabhi martey hain,jab bhi tum,bharhak,kar,forhtey ho bm