Mein nay iss taur se chaha aksar janaan
Jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
Jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
Jaisay khushbu ko hawa rung se hut ker chahay
Jaisey pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
Jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
Jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
Jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
Mere har khaab meray such ki gawahi de ga
wusat-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
Meri sochoan mai kabi dekh sarapa apna
Mae ne duniya se alag teri parastish ki hai
Khaahis-e- deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
Noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
Teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
Toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
Mai nay chaha keh teary hush ki gulnaar fiza
Meri ghazlon ki qataron se mehkti jaey
Main ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
Teri aankhoan ke gulaboan se mehkti jaye
Tai to yeh tha keh sajata rahay lafzaon ke kanwal
Meray khamosh khayaloan mai takllum tera
Raqs kerta rahay bharta rahey khushbu ka khumar
Meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
Tu mager ajnabi mahol ki parwardah kiran
Meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
Teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
Chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr ker na saki
Tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
Aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai
Tu nay us moar pay tora hai talluq keh jahan
Dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
Abb yeh allam hai keh ankhain jo khulain gee apni
Yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
Mujh se maangay ga terey ehd-e-mohobbat ka hisaab
Terat hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
Yoon merey dil ke barabar tera gham aya hai
Jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan
Jaisay muhtaab ko be-ant samander chahay
Mai ne is taur se chaha tujhey aksar janaan!!!!!