Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts
Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts

Saturday, September 08, 2012

Chup Hai Haar Waqt Ka Rone Waala

Chup hai har waqt ka rone waala,
Kuch na kuch aaj hai hone waala,
Ek bhi ashq nain hai ankhon mein
Sakht-jaan kitna hai rone waala,
Aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin
Haar phoolon ke pirone waala
Kho gayaa dard ki tasweeron mein
Pyaar ke rang bhigone waala
Fasl ashqon ki ug aaye kaise
Kyaa kahe khakahe bone waala
Baant-ta firta hai auron ko hansee
Khud ko ashqon mein dubone waala
Mutmayeen ab hain yahi soch ke hum
Ho rahega hai jo hone waala
Shauq tum jiske liye marte ho
Wo tumhaaraa nahi hone waala

Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyun hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyun hai

Tu kitna bhi mujse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe ata kyun hai

Yuh to hai kayi fasla tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri farkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyun hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyun hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato main kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Man mera phir bhi tere khawab sajata kyun hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
Kamsin ko akhir wo itna satata kyun hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyun hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyun hai .

Kuch Is Tarah Se Pyar Kar Bethe

Kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
Har waqt yu to the hons me hum par kambhakht unko ye samja na shake,
Saath chale rahe unke magar unko ye ahsaas dila na shake,
Pyar to unko bhi tha hamse magar who keh na sake,aur hum samaj na shake

Yeh Dard Mit Gaya Tu Phir

Yeh dard mit gaya tu phir
Yeh zakhm sil gaya to phir
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahi
Woh phool khil gaya tu phir
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir

Laho Har Lafz Rota Hai

Yehi wada lia tha na
Humaisha khush he rehna hai
to deikh ,daikh lo a kar
meri ankhun ko daikho tum
yeh kitni shokh lagti hain
mere honton ko daikho tum
hmaisha muskuratay hain
koi bhi gham agar aya
isy hans kar saha main ne
mere chehry ko daikho tum
humaisha purskun hoga
tu socho gay
kiya tha mein ne jo tum se
wo wada kar dia pora,
magar ek bat hai payare
kbhi jo waqt mil jay
to meri shayari parhna,
tmhain mehsos tu hoga
kahein talkhi bhara lehja
kahien pe sard sa lehjha
kehein pe dard ki jhealain
kehein lehje ke karwaht
suno
mein khush tu hon lakin
laho har lafz rota hai
laho har lafz rota hai

Monday, September 03, 2012

Kisi Lerki Say Mat Kehna

Kisi lerki say mat kehna
Kay us say pyar kertay ho
Ager ek bay dhayani main
Yeah iqrar ker bethey
Kisi say pyar ker bethay
To phir wadoon ki doroon main
Ualajh ker toot jao gay
Tumharay pyar ka us ko
Ager ehsaas ho jayay
To ho sakta hai tum us ka
Rang-o-roop ban jao
Mohabbat kay safar main shayad
Aaisa mor aajayay
Kay tum narazgi ka
Bermila izhaar ker bethay
Koi inkaar ker bethey
To yeah samjho koi sheesha,
Koi dil toot jaye ga
Kay in kay dil bohat nazuk,
Bohat kumzoor hotay hain
Kisi lerki kay dil ka tootna bhi
Mout hoti hai
Kisi larki se na kehna
K us say pyaar karte ho

Mohabbat Phir Mohabbat Hay

Mohabbat phir mohabbat hay
Kabhi dil say nahi jati

Lakhon rang hein is kay
Ajab hi dhang hein is key

Kabhi sehra
Kabhi deriya
Kabhi jugno
Kabhi anso

Hazaron roop rukhti hay
Badan jhulsa k jo rakh day
Kabhi woh dhoop rakhti hay

Kabhi ban ker yeh eik jugno
Shabe gham ki anderon mein
Dilon ko aas deti hay

Kabhi manzil kinarey per
Sadyon k musafir ko
Faqat eik piyas deti hay
Aziyat hi aziyat hay

Mohabbat phir mohabbat hay
Kabhi dil say nahi jati

Kisi Say Rishta Gehra Na Karna

Kisi say rishta gehra na karna,
Bhoo ker bhi adhoore sapnay na sajana

Zindagi mein kisi say dil na lagana
Kyon k gehre rishtay adhore sapney

Or dil Akser toot jatey hein

Ek Kasak Jo Lafzo'n Ki Aagosh Me Sisak Rahi Thi

Ek kasak jo lafzo'n ki
Aagosh me sisak rahi thi

Ek dua jo dur arsh
Pe bhatak rahi thi

Wo dua jo tuutey dil
sy nikal rhi thi

Wo dua jo 2 labo'n
Pe machal rahi thi

Kassh

Ek shaam wo laut aaye

Ya kaash
Wo shaam laut aaye

Is dil ne bohat usay
Chaha tha

Hum ne rab sy bas
Usy hi maanga tha

Pr meri dua tou kahin
Arsh pe hi kho gai

Aur phr taqdeer b
Andera aurh k so gai

Aur phir zabt ka daaman
Hum ssy chooth gaya

Ek tuota hua dil
Aur bhi tut gaya

Ye Rung-e-Gul Bhi Hy Aur Khaar Bhi Hy

Ye rung-e-gul bhi hay
Aur khar bhi hay

Zubaan chalti hui
Talwaar bhi hy

Ajab hay bolti aankho'n
Ki masti

Jahan inkaar bhi hy
Iqraar-e-ishq hy
Dekho sambhal kr

Bohat aasan bhi hy
Dushwar bhi hy

Ajab 2 rung hyn
Insaan ki fitraat

Gila hy jis sy usi sy
Pyar bhi hy

Ae Kaash ! Kahin Qudrat

Ae kaash kahin qudrat
Ka ye nizaam hua karey

Tujhey dekhney k siwa na
Mujhey koi kam hua karey

Charcha ho saarey shehar
Main tere mere pyaar ka

Mujh pe teri chahat ka
Ilzaam hua karey

Ishq karo'n aisa k ho
Jao'n main deewana

Koi poochy aarzu tou zuban
Pe tera naam hua karey

Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi

Dil ki masoom ragai'n toot'ti hain
Yaad itna bhi na aaye koi

Usay Shamma Keh Dia

Wo ek shab jali tou usay shamma keh dia
Hum barson se jal rahe hyn koi tou khitaab do

Tumhari Yaad Ki Dali

Tumhari yaad ki dali
Utha ker
Zubaan pe rakhi li hy maine
Ye qatra pighal rahi hai
Main qatra hi je raha hoon

Wo Mujhe Tut Ker Chahe

Wo mujhr tuut ker chahe ga aur bhool jaye ga
mujhe khabar thi usey ye hunar bhi aata hai

Ek Sin Mili Wo Mujh Sy

Ek Sin Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasio'n Main Rachi Basi Si

Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho...

Jhuka K Palkai'n Chupa K Chehra
Lagi Wo Kehne

Udaasio'n Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebo'n Main
Tum Nahi Ho

Kisi Ko De Ke Dil Koi Nawasanj-E-Fugaan Kyu Ho

Kisi ki de ke dil koi nawasanj-e-fugaan kyun ho
Na ho jab dil hi seene me to phir mooh mein zabaan kyu ho

Qafas mein mujse rudaad-e-chaman kahate na dar humdum
Giri hai jispe kal bijli,woh mera aasheyan kyu ho

Yahi hai aazmana to satana kis ko kehte hai
Adu ke holiye jab tum,to mera intehaan kyu ho

Wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodana thehra
To phir aye sang-dil tera hi sang-e-aastaan kyun ho

Nkiaalna chahta hai kam kya taanon se tu ghalib
Tere be -meher kehney se,woh tujh pe meherbaan kyun ho

Teri Tarha Malal Mujhey Bhi Nahi Raha

Teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
Jaa ab tera khayal mujhey bhi nahi raha

Tu ne bhi masmon ki pazeerai chorr di
Ab shauq e mah evisaal mujhey bhi nahi raha

Mera jawab kia tha mujhay bhi khabar nahi
Yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha

Jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
Us baat ka khiyaal mujhay bhi nahi raha

Tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina
Andaza e jamal mujhey bhi nahi raha

Jo Kar Gaya Houn Main

Ek hunar hai jo kar gayaa houn main
Sab ke dil se utar gayaa houn main

Kaise apni hansi ko zabt karun
Sun raha houn ke ghar gayaa houn main

Kya bataaoun ke mar nahin pata
Jite ji jab se mar gayaa houn main

Ab hai bus apna saamna darpesh
Har kisi se guzar gayaa houn main

Voh hi naaz-o-adaa,voh hi ghamze
Sar-be-sar aap par gaayaa houn main

Khaak Urti Hy Raat

Khaak Urti Hy Raat
Bhar Mujhy Main

Kyun Phirta Hy
Dar-be-Dar Mujh Main

Mujhe Ko Mujh Main
Jaga Nahi Milti

Koi Majood Hy Is
Qadar Mujh Main