Monday, September 03, 2012

Jo Kar Gaya Houn Main

Ek hunar hai jo kar gayaa houn main
Sab ke dil se utar gayaa houn main

Kaise apni hansi ko zabt karun
Sun raha houn ke ghar gayaa houn main

Kya bataaoun ke mar nahin pata
Jite ji jab se mar gayaa houn main

Ab hai bus apna saamna darpesh
Har kisi se guzar gayaa houn main

Voh hi naaz-o-adaa,voh hi ghamze
Sar-be-sar aap par gaayaa houn main