Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts
Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts

Thursday, October 04, 2012

Ajab Rasm Hai

Ajab rasm hai chara garro'n ki mehfil mai 
Lga ker zakhm namak se masaaj krty hain 

Gareeb-e-sheher tarasta hai ik niwaley ko 
Ameer-e-sheher k kuttey b raaj kerty hain 

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye

Dard se hum ab khelna seekh gaye,
Hum bewafai ke saath jeena seekh gaye,

Kya batayein kis kadar dil toota hai mera
Maut se pehle, kafan aud ker sona seekh gaye

Kisi Ne Hume Rulaya

Kisi ne hume rulaya to kya bura kiya,
Dil ko dhukhaya to kya bura kiya,

Hum to pehle se hi tanha the
Kisi ne ehsaas dilaya to kya bura kiya 

Nayi Soch, Nayi Baat

Hotay rahain iss dhoop main tehleel kahaan tak,
Aay waqt teray hukm ki taa'meel kahaan tak,

Heraan naye harf,nayi soch, nayi baat 
Aakhir koi khud ko kray tabdeel kahaan tak


(Taameel:Follow)Tabdeel:Change)(Aan:Way)

Main Tumhe Bhulane Ki Koshish

Jin siddato se koshish kar raha hu 
Ab main tumhe bhulane ke

Kabhi bahut dil se dua manga karta tha 
Tumhe apna banane ki 

Woh To Deewane They Jo Tanha Chor Gaye

Woh to deewane the jo tanha chor gaye
Wo na ruk sake to ankho mein apna saaya chor gaye

Hume gham hai is baat ka 
Ke wo dil se kiya wada, hathon se tor gaye

Koi Khushiyon Ki Chah Main Roye

Koi khusiyon ki chah main roye
Koi dukhon ki panah se roye

Ajeeb silsila hai ishq aur mohabbat ka
Koi wafa ke liye roye aur koi wafa kar ke roye

Log Samajhte Hain Humne Unko Bhula Rakha Hai

Log samajthe hain humne unko bhula rakha hai,
Wo kya jane ki dil me chupa rakha hai

Dekhe na koi usay meri ankho mein 
Isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai

Wednesday, October 03, 2012

Karti Hai Sawalat Musalsal Uski Nigah

Karti hy sawalat musalsal uski nigah
Ye trz-e-takaluf mjy acha nahi lagta

Kehte hain mujy dekh kr aksr mere ehbab
Ye shakhs akela hy mgr tanha nahi lagta

Nikal Aty Hain Ansu Rone Se Pehly

Nikal aty hain ansu rone se pehly,
Toot jate hain? sab khawb sone se pehly

Kehty hein k pyar ik saza hy 
Kash koi rok sakta pyar hone se pehly 

Chand Utra Tha Hamare Angan Mein

Chand utra tha hamare angan me,
Yeh sitaro ko gawara na hua,

Hum bhi sitaron se kya gila kare,
Jab chand hi hamra na hua

Tumhary Khawab Sajany Main Lutaf Aata Hay

Tumhary khawab sajany main lutaf atta hay 
k apna ap jalanay main lutaf atta hay 

Khuda sy apnay leay mangta hon jb tum ko 
Mujhe yeh hath uthany main lutaf atta hay 

Teri Yaad Me Zara Aankhe Bhigo Lu

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu 
Udas raat ki tanhai me so lu 

Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi 
Ager tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu 

Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja Rahay Hain Log

Jannat ki aarzu mein kahan ja rahay hain log,
Jannat tou karbala mein khareedi Hussain (R.A) ne,

Dunya o aakhrat mein jo rehna ho chain se,
Jeena Ali se seekho marna Hussain se 

Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue

Aag dil me lagi jab wo khafa hue
Mehsoos hua tab, jab wo juda hue

Karke wafa kuch de na sake wo 
Per bahut kuch de gaye jb wo bewafa hue

Laga K Aag Shehar Ko Ye Badshah Ne Kaha

Laga k aag shehar ko ye badshah ne kaha
Utha hai dil mein tamashay ka aaj shoq bohat

Jhuka k sir ko sabhi shah-parast bol uthay
Hazoor shoq salamat rahay shehar aur bohat 

Maat Poocho Kya Guzarti Hai

Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane

Mat poocho kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke par hote hain ,,

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi

Mujhko aisa dard mila jiski dawa nahi 
Phr bhi khush hun mujhe us se koi gila nahi 

Aur kitne aanso bahaon us k liye
Jisko khuda ne mere naseeb main likha hi nahi 

Kaash Wo Nagme Humein Sunaye Na Hote

Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,

Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote,

Wo Jo Mera Ho Nigahon Main Haya Rakhta Ho

Wo jo mera ho nighahon main haya rakhta ho,
Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho,

Na us kay na uthao to shikayat na kary,
Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.