Showing posts with label Eid Shayari. Show all posts
Showing posts with label Eid Shayari. Show all posts

Sunday, September 30, 2012

Itne Majboor They Eid Ke Roz

Itne majboor the eid ke roz taqdeer se hum 
Ro pade milke gale apki tasweer se hum 

Eid Hai Aaj Aur Tum Pass Nahin

Eid hai aaj aur tum pass nahi ho 
Sab kuch hai pass par tum pass nahi ho 
Mana tu li hai eid hum ne yahan pe 
Na aaya woh maza jo tum pass nahi ho 

Eid Ayi Hai

Jo kaho geya hum se andher raton mein 
Usi ko dhoond ke lao ke eid aayi hai 

Friday, September 28, 2012

Dard Ke Maron Ne Piya Eid Ka Chand

Talkhyaan barh gayin jab zeest ke pemaney mein 
Ghol ke dard ke maaron ne piya eid ka chand

Ban Deke Usey Ya Rab

Ban dekhe usey ya rab yeh eid na guzrey 
Kar pesa koi aesa sabab yeh eid na guzrey 

Duniya ko dikhaya hai jo ik chand tu ne 
Mujhko bhi dikha ab yeh eid na guzrey 

Unwaan Bana Eid Ka Chand

Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey 
Kitne afsanon ka unwaan bana eid ka chaand 

Musartein Tumhe Eid Ki Mubarak Hon

Tohfa duyaon ka tumhe pohanchey mera
Sada rhe tuumhare gird khushiyon ka ghera

Musartein tumhe eid ki mubarak hn 
Tumhari zeest mein na aye ghamon ka phera

Eid Ka Bhi Hai Ishara Kareeb Ajao

Ab maza ayega eid ka 
Bacha bacha muntazir hai deed ka 

Ab nahin hijr gawara ke kareeb ajao 
Eid ka bhi hai ishara ke kareeb ajao 

Ubhra nahi hai chand nazar beqarar hai 
Aese mein bhala khaak aye eid ka maza

Abr-e-rehmat ban kar cha jao peyam e eid hai 
Chaar soo noor barsao peyam e eid hai 

Is Bache Ki Eid Kesi Hogi

Is bache ki eid na janey kesi hogi 
Jis ki janat nangey paon phirti hai 

Tohfa Diya Hum Ko Eid Pe

Us meherban ki nazar-e-inayat ka shukria
Tohfa diya hum ko eid pe firaaq ka 

Ameeron Ke Liye To Har Roz Eid Hai

Akeli tu bhi hai , mera bhi door hai mehboob
Galey tou mil eid ayi hai shab-e-hiran mein 

Ameeron ke liye tou har roz eid hai 
Ghareeb khush hon tou janein eid ayi hai 

Eid Ka Chand

Un ko dekha tou phir utra na geya
Aasman tak hi raha eid ka chaand

Is Eid Pe Laut Ke Ajana

Iss eid pe lot k aa jana,
Kuch yadein taza krni hain,
Kuch lamhay morr k lanay hain,
Kuch taray torr k lanay hain 
Wo masti or wo madhoshi,
Wo bachpan mor k lana hai 
Is eid pe lot k aa jana
Ab dil ko dil ki dharkan se,
Phir eid mubarak kehna,
Ab sath boht din rehna hai 
Is eid pe lot k aa jana 

EId Guzar Jaye Gi

Tujhe meri na mujhe teri khabar jaye gi 
Eid ab ke baar dabey paaon guzar jaye gi 

Eid Huyi

Tujhse bichhre to ab hosh nahin 
Kab chand hua kab eid huyi 

Suna Hai EId Ayi Hai

Usay khna loat ao suna h eid ayi hai 
ek br tu a kr mil jao h eid ayi hai 
usay khna k bin tere bohat eiden guzri hain 
Is br tu milny a jao suna h eid ayi hai 
Usay khna judai se muhabbat kam nahi hoti 
Ye dunia ko batla jao k suna h eid ayi hai 
Usay khna k chaht ka bhram na totane dena 
Tum pal  do pal hi a jao suna h eid ayi hai 
Usay khna k tanha hi koi eid k din b 
Ye tanhai mita jao suna h eid ayi hai 

Tuje Dekhna Meri Eid Hai

Teri deed jis ko naseeb h wo naseeb qabil e deed hai 
lakin
Tuje sochna meri chand raat or tuje dekhna meri eid hai 

Bakra Eid Ka Bakra

Teri yadoun ki hifazat kesy karun
Mera te apna lela koi khol k le gaya 

Saturday, June 09, 2012

Suna hai eid ayi hai

Usay khena k laot ao suna hai eid ayi hai
eik bar to a kar mil jao suna hai eid ayi hai

Usay kehna k bin tere bohat eiden guzri hain
Is bar to milney a jao suna hai eid ayi hai

Usay kehna judai se muhabat kam nai hoti
Ye dunia ko balta jao k suna hai eid ayi hai 

Usay kehna k chaht ka bharam na totane dena
Tum pal do pal hi a jao suna hai eid ayi hai

Usay kehna k tanha hi koi eid k din b
Ye tanhai mita jao suna hai eid ayi hai

Tuje dekhna meri eid hai

Teri deed jis ko naseeb hai wo naseeb qabil e deed hai lakin
Tuje sochna meri chand raat or tuje dekhna meri eid hai