Showing posts with label Dosti/friendship Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dosti/friendship Shayari. Show all posts

Tuesday, September 11, 2012

Mohabbat Ho Hi Jati Hai

Kisi manoos lamhey mein,kisi manoos chehre se
Mohabbat ki nahin jati, mohabbat ho hi jati hai

Woh Koi Dost Tha Achey Dinon Ka

Wo koi dost tha achey dino ka
Jo Pichli raat say yaad aa raha hay

Kissey dhoondo gey in galiyon mein zahid
Chalo ab ghar chalain din ja raha hay

Kuch Yaar Puraney Rooth Gaye

Kuch khawab suhaany toot gay,
Kuch yaar purany rooth gaye,

Kuch zakham lagy thy chehry par,
Kuch ander se hum toot gaye.

Kuch hum thy tabiyat k saada,
Kuch log begany loot gaye.

Kuch apno ne badnaam kiya,
Kuch ban afsany jhoot gaye.

Kuch apni shikasta nao thi,
Kuch humse kinaary choot gaye

Dost Kiyun Baney

Suraj kiyun nikla tha doob jana tha
Dost kiyon baney the jab door jana tha

Bojh Ban Jayunga

Bojh ban jayunga apne hi dosto par ek din main
Jab wo kandha badal badal kar meri laash utha rahe honge

Who Are Friends?

FRIENDS!!
who are they
The ones who hold your hand in a crowd,which is against you.
The ones who tap your,
back,when you are wrong.
The ones who do everything for you but then refuses to take thanks.
The ones who message you, saying ooye reply to kar.
The ones who make you smile and stop you tears n if you dont he/ she 'll slap
you hard and will say idiot roya mat kar mere samne
Send this to all ur friends,even to those who are not in touch or who are far
away fro u.

Tu Hi Bata Tujhe Kya Kahoon

Tu hi bata tujhe kya kahoon,
Paani kahoon ya pyaas kahoon
Badal kahoon ya barsaat kahoon
Dil kahoon ya dhadkan kahoon,
Insaan kahoon ya bhagwaan kahoon,
Zindagi kahoon ya maut kahoon,
Tu hi bata tujhe kya kahoon

Mene Bohat Se Dost Banaye

Mene bohat se dost banaye

Kuch bohat khas
Kuch bohat pyare

1 se to muje mohabbat b bohat thi
Kuch mulk chor gaye
To kisi ne ghar badal lia
Kisi ne mujhe chor dia our kisi ko mene,
Kuch dosto se rabta hai kuch se nahi
Koi apna ana ki waja se rabta nahi karta
Kahin meri ana muje rokti hy
Wo sb jese b hain jahan bhi hain
Main ab b unhe chahta hun,or yaad karta houn
Q k mene un k sath zindagi k yadgar din guzare hain

Jise Ankh Bhar Ke Dekh Lein

Hum itnay haseen to nahi magr ye dawa hai
Jisay ankh bhar k dekh len usay uljhan main daal detay hain

Zindagi Jis Ke Dam Se Hai

Zindagi jis k dam se hai dost,
Yaad us ki azaad-e-jaan bhi hai

Yaaran Naal Jeena Hai

Jena v 11 nal
Marna v 11 nall
Hsna v 11 nal
Rona v 11 nal
Lrna v 11 nal
Rosna v 11 nal
Bahara v 11 nal
Q k aj date v 11 mahena v 11 ty sal v 11
Enjoy 11 nall

Batayen Kya Tumhe Yaaro

Batayen kya tumhe yaaro, kahan thehre, kahan pohachey,
Hazaron dastaanein hain safar ke sath waabasta..

Hazor-e-Dost Ajab Hadasa Hoa Yara

Hazor-e-dost ajab hadsa hoa yara,
Har eik harf-e-shikiyat ne khod khoshi kar li

Doston Me Jab Wafa Mafqod Hone Lag Gai

Doston me jab wafa mafqod hone lag gai,
Hum ko apne dushmanon se rabta rakhna para

Ruswaion Ka Ap Ko Aea Hai Abb Kheal

Ruswaion ka ap ko aea hai abb kheal,
Hum ne to apne dost bhi dushman bana lie

Raaz-e-Dil Kis Ko Kahon Hazrat-e-Naseh Kahaye

Raaz-e-dil kis ko kahon hazrat-e-naseh kahaye,
Jo mere dost hain kia ghair k ehbab nahin.

Zahe Naseeb K Hum Jab Chaman Me Ae Hain

Zahe naseeb k hum jab chaman me ae hain,
Khazan ne hath bharaea hai dosti k lie

Shaed Unhen Ka Ajar Mere Kaam Aa Gea

Shaed unhen ka ajar mere kaam aa gea,
Jin doston ne chor dia waqt par muje,

Gale Apas Me Jab Milte Hain Wo Bichare Hoe Sathi

Gale apas me jab milte hain wo bichare hoe sathi,
Adam be saharon ko bari takleef hoti hai.

Gardish-e-Doran Zamane ki Nazar Ankhon Ki Neend

Gardish-e-doran zamane ki nazar ankhon ki nend,
Kitne dushman eik rasm e dosti se ho gae