Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts

Tuesday, July 17, 2012

Chupkey Chupkay Ro Lena

Jub Seena gham se bojhal ho
Our yaad kisi ki aati ho

Tub kamrey main bund ho jana
Our chupkey chupkey roo lena

Jub aankhein beghi ho jaein
Aur yaad main meri bhar aaein

Phir khud ko dhuka mat dena
Aur chupkey chupkey roo lena

Jub pulkeen karb se mondi hoon
Aur sub sumjhein tum sotey ho

Tub moan pe takya rakh lena
Aur chupkey chupkey roo lena 

Yeh duniya zalim duniya hai
Yeh baat bohoot phaliye gi

Tum samney sub ke chup rehna
Aur chupkey chupkey roo lena

Jub barish chehra dho daley
Aur ashk bhi boondein lagtey hoon

Woh lamha hergiz mat khona
Aur chupkey chupkey roo lena

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta

Dard Kitne hain bata nahi sakte
Zakhm kitne hain dikha nahi sakte

Ankhon se samjh sako to samjh lo
Ansoun gire hain kitne gina nahi sakta

Kabhi Dil Ko Kabhi

Kabhi dil ko kabhi shamma ko jala kar roya
Teri yaad ko dil se laga kar roya

Raat ki god mein jab so gayi duniya sari
Chand ko teri tasveer bana kar roya

Kul Raat Janay Kya Howa

Kul raat janay kya howa
Kuch Dair neend sai pehlai

Kuch ashq milnai a gai
Kuch khwab bhi totai howai

Kuch log bhi bholai hovai
kuch raste bhutki hoi

Kuch gurd main lipti hoi
Bai-rubt si souchain kai

Bhooli hoi baatai kai
Eik  shaks ki yaadai kai

Phir dair tuk jaga raha
Souchon mai gum baitha raha

Ungli sai thundai fursh pur
Eik naam bus likhta raha

Kul raat hi wo raat thi
Kuch dair neend sai pehlai
mai dair tuk roota raha

Bataane Se Bhee Ye Gham

Bataane se bhee ye gham kyon kam naheen hote
Aansuon se dil ke kone nam naheen hote

The bahot umeed to apnon se is dil ko kabhee
Par hameshaa sath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote

Jab khushee hai naachtee gaate hai man ke har kalee
Un gharon men kyaa kabhee matam naheen hote

Pyaar sab miltaa jinhen dil dillagi naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote

Yaad to karte hain unko ham sada hee raat din
Khawab men unke kabhee kya ham naheen hote

Youn Dosti K Naame

Youn dosti k naame ko rosvaa na kijiye
Tark-e-ta,alluqaat ka charcha na kijiye

Jurm-o-sitam ka pass bhi ulfat mein shart hai
Palkon ko aansuon se bhigoya na kijiye

Aisa na ho umeed se rishtha hi toot jaaye
Har rooz mujh se waada-e-fardaa na kijiye

Hamdard jis ko apna samajhte rahe hain aap
Us ka hi zindagi mein bharosa na kijiye

Monday, July 16, 2012

Aa Gayi Thi Eik Din

Aa gayi thi eik din tanhai bhi jazbaat main
Aank sai bhi chand boondein gir pari barsaat main

Dil Main Har Raaz

Dil main har raaz daba kar rakhte hain
Hontoon per muskuraha saja kar rakhte hain

Yeh duniya sirf khushi mein saath deete hai
Iss liye hum apne aansoon ko chupa kar rakhte hain

Aansuo Aa jate Hain

Aasoo aa jate hain ankhon me rone se pehle
Her khwab toot jate hain sone se pehle

Ishq hai gunah ye to sumajh gaye 
Kassh koi rok leta ye gunah hone se pehle

Wo Nadiyan Nahi Aansu

Woh nadiya nahi aansu they mere
Jin par wo kashti chalate rahe

Manzil mile unhain yeh chahat thi meri
Is liye hum aansu bahate rahe

Karoge Yaad Eik Din

Karoge yaad eik din is pyar ke zamane ko
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko

Chalega mehfil me jab zikr hamara koi
To tum bhi tanhai dhundo ge aansu bahane ko

Koi Dikha Ke Roay

Koi Dikah ke roay koi chupa ke roay
Humain rulane wale humeain rula ke roay

Marne ka maza to tab hai
Jab Qatil bhi janaze pe aa ke roay


**~!!!ak3le.tanh4@yahoo.com !!!~**

Eik Raat Wo Mile Khawab Me

Eik raat wo mile khawab me
Humne pucha kyo thukraya aap ne

Jab dekha unki aankho me bhi aansu the
Phir kaise puchte kyun rulaya aap ne

Mujh Ko Rula Kar

Mujh ko rula kar wo bhi roya to hoga
Mooh aansuon se unse bhi dhoya to hoga

Ager Na kya hai hasil kuch humne pyar main
Kuch na kuch usne bhi khoya to hoga


**~!!! ak3le.tanh4@yahoo.com !!!~**

Bina Dard Ke Aansu

Bina Dard ke aansu bahaye nahi jate
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate

Zindagi me eik baat yaad rakhna 
Kisi ko rula ke apne sapne sajaye nahi jate

Hum Mazay Main Hain

Us se kehna hum mazay main hain
Bas yaadain bohat stati hain

Un ki duuri ka gham nahi mujhey
Bas zara aankhain bheeg jati hain

Shaam Se Aankh Nam Si Hai

Shaam se aankh may nami si hai 
Aaj phir aap ki kami si hai

Daffn kardo hamay kay saans milay 
Nabz kuch dair say dabi si hai

Dil Mein Tumhare

Dil Mein tumhare apni kammi chore jaaien ge
Aankhon mein Aanson ki nammi chore jaaien ge

Yaad rakhna mujhe doondte phiroo ge eik din
Jabh yeh hum zindagi chore jaaien ge

Shidat Se To Barsaat

Itni shidat se to barsaat be kam kam barsay
Jis tarha ankh teri yaad main cham cham barsay

Minatien kon kary eik gharondy ke liye
Keh do baadal se barasta hai to jam jam barsay

Kuch Aisi Nishani De Gaye

Jane kyun woh hame kuch aisi nishani de gaye
Dohra na sake aisi kahani de gaye

Hum to reh gaye pyase par
Woh hamari palko ko pani de gaye