Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts

Monday, July 16, 2012

Mary Dil Ka Dard

Mary dil ka dard kis ne dikha hai
Mujhe bass khuda ne tarptey dikha hai

Hum tanhai me baithe rote hain
Logo ne humen mahfill ma hasty dikha hai

**~!!!! ak3le.tanh4@yahoo.com !!!!~**

Daman Ko Bachaen Kesy

Rasm-e-dunya ko nibhaye to nibhayen kesy
Hur tarf aag hai daman ko bachayen kesy

Ik ghumon ka bojh hota to utha b lety
Zindagi bojh bani ho to uthayen kesy

Meri Pagal Mohabbat

Meri pagal mohabbat tumhen yaad aye gi
Jab chand sitary chamak rahy hon

Jab yadoon k phool baras rahy houn
Jab deed ko nain taras rahy houn

Jab ankhon se ansoo baras rahy houn 
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabraye gaa
Jab tumhein akela pan saraye gaa

Jab koi bhi na aye gaa
Jab phool kitab main reh jae gaa
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Mohabbat Ka Irada

Mohabbat ka irada badal jana bhi mushkil hai
Tumhen pana bhi mushkil tumhen khona bhi mushkil

Udasi tery chehry ki gawara bhi nahi dil ko
Teri khatir sitay toor kr lana bhi mushkil hai

Zara si baat per ankhen bhigokr baith jety ho
Tumhen to hal-e-dil batlana bhi mushkil hai

Pata Nahin Chala

Roshani kab kam hui pata nahi chala
Ankh kab nam hui pata nahin chala

Teri yaad main khooye koch is tarha
Ankh kab name hui pata nahi chala

Jab Koi Nahi Hota

Khud hi chaly aty hain jab koi nahi hota
Ankhon se chalak jaty hain jab koi nahin hota

Dil bhi jis dard ko samait na paye
Usy seeny se kagaty hain jab koi nahi hota

Alfaaz nahi milty jis dard k liye
Wo baat ye keh dety hain jab koi nai hota

In ansuon se aqedat nahi to nahi mujhko
Ye sath nibhaty hain jab koi nahi hota

Sunday, July 15, 2012

Tery Hijer Main

Hum tery hijer main ander se toot jaty hain
Zinda rehty hain mager ander se toot jaty hain

Jab kabhi bolta hai hans ke kisi our se tu
Kitny hanjer merey seeny main uter jatey hain

Teri yadoon ki agerbattiyan jall uthy ha
Hum tery derd ki khushboo se bher jaty hain

Jhoot...

Khoof ker kuch khuda ka
Mujh se tu zindagi 
Kitny jhoot boly gi

Bohat Roya

Khud ko chup kara k main aaj bohat roya
Purani yaadoon ko gunguna k main aaj bohat roya

Tanhai k gumse nidhal ho ker
Teri tasveer galy laga k aaj bohat roya

Apnon ne jo kia wo sb bhula dia
Ghayron ko aazama k main aaj khoob roya

Main kahan is qabil k wo mulaqaat karen
Khwahishon ko dabo ke main khoob roya

Zindagi Jeeny Se Qabal

Apny dard barha leti huon
Yaadon main usey pas bula leti houn

Zindagi jeeny se qabal jo mar gya tha
Har pal usy jeeny ki dua deti houn

Hairaan....

Hairan nahi hun main agar dil tooty kisi ka
Ab to kisi payar ki kamyabi pe chuonk jati hun main

Wo Nahin Aya

Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha,
Sitam woh rozz eik naya ijad karta tha

Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi aya
Jo panchi roz mere nam pr azad karta tha 


**~!!! ak3le.tanh4@yahoo.com !!!~**

Bazi e Ishq Kuch Is Tarah Se Harey Yaroo

Nazi e ishq kuch es tarah se haray yaroo
Zakham per zakham lagey dil pe humare yaroo

Koi to aisa ho jo ghao per marham rakhey
Youn to mushman na bunno sare ke sare yaroo

Bazm main ser ko jhukaye huye jo beth hain
In ko mat cheroo yeh hain ishq ke marey yaroo

Jinn main hoty thy kabi meher o wafa ke moti
In hi ankhon main sittam ke hain sharary yaroo

Dost hi apny jo kery lageen nazr e tofaan 
Kaam nahi aty phir koi saharey yaroo

Sang gheroon ne jo marey to koi dukha na hua
Mar gaye tum ne magar phool jo marey yaroo

Wo jo raha dil geer tumhari khatir
Tum ne kya kya nahiin taney usy marey yaroo

Bhala Kaise Bhulaaon Gi

Meri jaan sochti hon main
Agar tum mil na paay to
Tumhaari yaad ko dil say
Bhala kaise bhulaao,n gi
Jo mousam sang terey beetey
Unhain kaise bhulaao,n gi
Andheri raat main jugnu
Bhala kaise jalaoonn gi

Meri jaa,n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao,n gi 
Likha jo naame hay dil par
Usay kaise mitaaoo,n gi
Jo aadhi um,r jeeni hay 
Wo main kaise bitaoo,n gi

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi 
Teri yaadai,n jo aae,n gi
Mujhey pal pal rulai,n gi
Merey anchal ko kainchai,n gi
Mujhe khutch gud-gudai,n gi

Meri jaa,n sochti houn main
Tumhain kaise bulaao,n gi
Jo baatai,n tum sey karti houn
Bhala kis ko bataao,n gi
Naya jab sher likhoo,n gi
Tu main kis ko sunaao,n gi

Meri jaa,n sochti houn main
Tumhain kaise bhulaaoo,n gi
Meri jaan,n jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo,n gi




Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap Se Hai

Mat tor woh taluk jo teri zaat se hai
Tu khafa meri kis baat se hai  

Tu bhi na uljha kar mujhse is tarah
Jo tu achi tarah wakif mere jazbaat se hai

Main kaise ji lon tumse rooth kar,
Meri har saans wabsta teri yaad se hai 

Mera taluk jura hai kuch is tara tumse
Jaise insan ka rishta khud apnay ap se hai 

Na Tujhe Chor Sakte Hai

Na tujhe chor saktay hain tere ho bhi nahi saktay
Ye kesi bebasi hy hum ro bhi nahi saktay

Ye kesa dard hy humein pal pal tarpaey rakhta hai
Teri yaad aati hy to phir so bhi nahi saktay

Chupa saktay hain na dikha saktay hen logon ko
Kuch Aesay daagh hain dil per ham dho  bhi nahi saktay

Kaha to tha chor deingay ye nagar phr ruk gaey lakin,
Tumhein paa to nahi saktay lakin kho bhi nahi saktay

Humara eik hona nahi mumkin raha ab to
Jein kesay keh tum se doosr reh bhi nai saktay

Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aya

Kabhi khud pe khabi halat pe rona aaya..
Baat nikli to har eik baat pe rona aaya

Hum to samje to k hum bhol gaye hain un ko
Kia hova aaj ye kis baat pe rona aaya..

Kis liye jeete hain hum kis k liye marte hai
Baarha aise sawalaat pe rona aaya

Kon rota hai kisi our ki katir ae dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya

Kabhi khud pe khabi halat pe rona aaya
Baat nikli to har eik baat pe rona aaya

Khuwab Ankhon Main Basati He To Ro Parti He

Naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he
Wo mera khatt jo jalati he to ro parti he

Khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
Khuwab ankhon main basati he to ro parti he.

Log  poochtey hen jo gehri udaasi ka sabab,
Baat logon se chupaati he to ro parti he.

Yaad karti he mujhey toot kar us lumhy,
Shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he

Woh bary zubt bhary hosly wali larki
Ghum ko tahreer banati he to ro parti he

Jise Bhulaye Kayi Saal Ho Gaye

Main hosh mein tou phir uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein uttar gaya kaise

Kuch uss k dil mein lagawat thi warna
Woh mera hath daba kar guzar gaya kaise

Zaroor uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye kamil
Main aaj uss ki gali se guzra gaya kaise

Mujhe Maaf Kardena

Agar main hadh se guzar jaon to mujhe maaf kardena
Tere dil Main utar jaaon to mujhe maaf kardena

Yun hi ghusey mein akar dant dena to meri adat hai 
Agar aesa main kar jaaon to mujhe maaf kardena

Raste mein tujhe dekh kar teri deed ki hatir
Pal bhar jo theher jaaon to mujhe maaf kardena

Teri pal bhar ki bhi judai mujhe jeeney nahi deti
Tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kardena