Thursday, December 27, 2012

Wo Apne Naam Ki Duyain Mujhko Deta Tha

Bohat khamoush reh kar wo sadaaein mujh ko deta tha 
Bade bhar-pour jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha 

Kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi 
Wo apne saans ki mehki hawaaein mujh ko deta tha 

Wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi thein 
Riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha 

Meray ehsaas k seharaoun main jo dhop barhti thi 
Wo mousam ka khuda ban kar gataain mujh ko deta tha 

Usay main ajnabi samjha magar har mour par ramish 
Wo apne naam ki sari duaaein mujh ko deta tha