Wednesday, December 05, 2012

Usse Kehna

Kahin mile to usse kehna ke tanha sawan bita chuka hoon 
Main saare armaan jala chuka hoon 
Jo sholay bharke the khuahishon ke 
Woh aansoun se bhuja chuka hoon 
Kahin mile to usay yeh kehna 
Bagair uske udaas hoon main badalti rut ka qiyas hoon main 
Bhujade apni mohabbaton se sulagti sadion ki piyas hoon main 
Kahin mile to usay yeh kehna ke dia jo nafrat ka zehar usne 
Samajh ke amrit peeraha hoon k bari mushkil se jeeraha hoon 
Kahin mile to ussay yeh kehna k 
Woh mere jazbe kuchal gaee hai 
Na badle mausam bhi itna jadli woh jitni jaldi gai hai 
Kahin  mile to ussay yeh kehna k 
Fasl-e-nafrat gera raha hoon 
Gaye dino ko bhula raha hon woh apne vaade se phir gai 
Main apne vaade nibha raha hoon 
Kahin mile to usay yeh kehna k 
Na dil main koi malaal rakhna k 
Na dil main koi malaal rakha hamesha apna khayal rakhe apne saar gham 
Mujhko dede aur tamam khushian sambhal rakhe 
Kahi mile to usay yeh kehna....